a -->

Istikhara In Islam | What is The Importance Of Istikhara?

istikhara

1. istikhara kissi say "karwaya" nahi jataa, balkay "khud kia jata" hai aur khud hi karna chaahiyeh.
2. rishath karnay yaa koi aur kaam karnay k liyeh istikharah karnaa koi laazmi /zaroori nahi. istikharah k beghair bhi kaam kiyeh jatay haiN air kiyeh jasaktay haiN.
3. istikharah oss waqt kia jata hai / karna chhaiyeh jaab baat samajh main nah aa.ay k yeh kaam /rishtah pata nahi monaasib hai yaa nahi..... agar yaqeen ho jaa.ay k rishtah achaa hai to kar lena chhaiyeh...agar yaqeen ho jaa.ay k rishtah achaa nahi hai to nahi karna chhaiyeh.... albattah jab halat go mah go ki see ho, dil ko qarar nah ho k pata nahi acha hai yaa boraa...agar rishtah karlain to kharaab nah nikal jaa.ay...yaa inkaar kardain to kaheeN acha rishtah haath say nah nikal jaa.ay......... aisee hi soorat main istikharah khud karna chhaiyeh
4. istikharah ka matlab hai Allah say dua karna k iss kaam /rishtah main bhalaayee paidaa karay aur agar iss main koi borayee ho to shadi k baad oss say mahfoooz rakhay....... istikharah karnay say yeh zaroori nahi k "jawaab"  zaroor aayegaa yes or No maiN....... yeh sab commercial istikharah karanay walouN ka dhakoslah hai.
5. kissi bhi deeni kitab say istikharah ka tareeqah dekh laiN... yanai raat sonay say qabal doganah namaaz /dua 
4. detail, see books) karkay "maamlah Allah par choR daiN"... yaani Allah par "tawakkal" kar laiN........... agar Allah par tawakkal" karnay say dil ko satisfaction mil jaa.ay to rishtah kar lain... dil phir bhi be.chain hi rahay to rishtah nah karaiN............. kiss YES /NO jawaab ka intezaar nah karain... amooman koi jawaab nahi aataa